Thursday, 11 August 2011

Kabhi wo Paas

Kabhi wo Paas hota hai,Kabhi wo door hota hai..
Kabhi palkain bichata hai,Kabhi Magroor hota hai..

Kabhi naraz hota hai wo sun kar guftagu Meri..
Kabhi Khamoshion Mein bhi bohat Masroor hota hai..

Kabhi wo fesla karta hai Mjh say door Rehny ka..
Kabhi Meray hawalay say wo khud Mashoor hota hai..

Kabhi wo lena Chahta hai apnay pyar ki qeemat..
Kabhi be-daam bikna bhi usay Manzoor hota hai

No comments:

Post a Comment